khule aasman ko dekhta hoon, toh un taro mei tumhari hasi ki chamak, toh kabhi tumhari aankon ki chamak dikhai deti hai, chand mei tumhara chehra dikhai deta hai,,,
jab raat ho aesi kash tumhara saath ho agli subah warna raat hi rahe aesi,,, khula aasman hi sahi aur khuli aankhon se sapna hi sahi..
yeh chand bhi puchta hai kise dekhta hai tu mujh mei kya woh mujhse bhi jyada sundar hai,, hum kehte hai humari aankhein unki aankhon se hat ti nahi pata nahi woh kitni sundar hai...lekin uska chehra toh hum tujhme dekhte hain toh woh tujhsa hi sundar sahi,, kash uska saath ho agli subah warna raat hi rahe aesi,, khula aasman hi sahi aur khuli aankhon se sapna hi sahi,,,kaash is sapno ki duniya se tujhe bahar kheech loon.......
aur kahi is khule aasman mei toot ta tara dikhe aur phir main kahu kash kal tera saath ho haatho mei haath ho agli subah warna raat hi rahe aesi,, khula aasman hi sahi aur khuli aankhon se sapna hi sahi........ :)
No comments:
Post a Comment